Wednesday, 16 March 2016

KHASTA BESAN KACHOURI


Khasta Besani Kachouri

Khasta Besani kachouri ki ek energy se bharpoor nashta ka achha option. India me yah kaafi famous or pasand ki jaane wali dish hai kyonki yah banane bahut simple hai or ise banane me jayada time bhi nhi lagta.
Ise nimn prakar se banaye.

Avshayak Shamagri:-
                    1 katori gehu ka aata, 1 katori maida, 2 spoon  moyan ka tel, salt, ajvayan.

Bharne ki Samagri:-
 1 katori besan, salt, red chilly, jeera, sounf, tilly, chaniya, garam masala, moyan ka tel.

Bidhi:-
Aate me sab samagri milakar poodi jaisa aata gonthkar thodi der k liye rakh de. Ab besan me sare masale dale or achha moyan dalkar goli ban jaye, esa gonth kar chhoti-chhoti goli bana le.
  Aate ki loi banakar poori belen, fir besan ki goli rakhkar hath se gol-gol dabate huye dachori bana le. Ek kadahi me tel garam karke dhimi anch par sari kachori tal le. Ab garma-garma kachori chatani ke saath pesh kare. Yah kachori char din k liye rakhne par bhi kharab nahi hoti. Chahe to ise chaat ki samagri bhi daalkar bhi kha sakte hai.



No comments:

Post a Comment