Tuesday 3 May 2016

Gobhi Paratha Recipe


Gobhi Paranthe Recipe

Gobhi ke paranthe subah ke nashte ke liye good option hote hai, agar subah kur-kure paranthe mil jaaye to maja aa jayega aur ye sardiyo me jyada banaye jaate jai. Parantho ko ham rayta, achar ya chatni ke saath kha sakte hai.

 Samagri:-

Gobhi ½ kilogram
Jeera bhun kar pisa hua
Hari mirch – 2-3
Aata - 2 badi bowl
Dhaniya Powder – 1 Table spoon
Lal Mirch – 1 tea spoon
Namak  - swadanusar
Garam masala ek tea spoon
Hara Dhaniya – ½ chhoti bowl
Oil ya ghee

Bidhi:-

1. Gobhi  ko Achhi tarah se dho lijiye, uske baad gobhi ko kaddukas kar lijiye aur hari mirch, Hare Dhaniye ko Baarik kat le. Gobhi me pisa hua jeera, Dhaniya powder, garam masala, lal mirch powder daal kr achhi tarah se mila lijiye. Uske baad gobhi me se paani nikal kar kadahi me mooli ka masala daal kar gas ko 5 minute k liye chalaye, taki paani nikal jaye.

2. Aate me namak swadanusar dale fir aate ko achhi tarah se gunth le.

3. Fir aate ki loi banaye aur usko roti ki tarah bel le, usme gobhi ka masala daal dijiye aur usko charo taraf se mila dijiye, aata lagakar fir se bel dijiye. Uske baad tave par daal kar dono taraf se sek le parathe par tel ya ghee lagakar sek lijiye. Paratha banakar tyaar hai

Wednesday 27 April 2016

Pudine ki Hari Chatani Recipe

Pudeene ki Hari Chatni


India ke har prant me pasand ki janne ki waali dish jise har tyohar par pakode aadi ke sath khayi jaa sakti hai.

Samgri:-

1. Do pyaale fresh pudeene ke saaf dhokar        aur baarik kate hue patte
2.  Ek pyaala hare Dhaniye ke patte, Baarik        kate hue.
3.  Do-teen Hari Mirch Baarik Kati Hui
4. Do spoon neembo ya imali ka rash
5. ¼ spoon jeera
6. Ek spoon Shakkar
7. Namak Swadanusar

Aloo Paranthe Recipe

Banane ki Vidhi:-


Sabhi Samgri ko ek sath milakar mixer me mahin pees le.
Turant Parose ya Hawaband dibbe me Band kar ke freeze me rakhe
Bade Bhojan ya Chote namkin ke sath mazedar aur chaat ke sath swadisht hoti hai.

Friday 22 April 2016

Aloo Parantha Recipe

Aloo Parantha Recipe
Aloo ke paranthe nashte ke liye achhe hai aur sardiyon me jyada swadist lagte hai. Agar chhutti bale din parathe mil jaye to maza aa jaata hai. Parathe ko ham rayata ya chatani ke sath kha sakte hai.

Samagri:-
  ·      Aloo ½ kilo
  ·      Jeera  bhuna hua
  ·      Hari mirch – 2-3
  ·      Aata – 2 badi katori
  ·      Dhaniya powder – 1 tea spoon
  ·      Laal mirch – 1 tea spoon
  ·      Namak – Swadanusar
  ·      Garam masala – 1 spoon
  ·      Hara dhaniya – ½ chhoti katori
Bidhi:-
   1.  Aloo ko achhi tarah se dho lijiye, fir cooker me ubal lijiye, thanda hone ke baad aloo ko chhil lijiye.
   2.  Uske baad aloo ko kaddukas kar lijiye  aur hari mirch ko barik kar lijiye. Aloo me pisa hua jeera, hara dhaniya, dhaniya powder, garam masala, lal mirch powder daal kar achhi tarah se mila le.
   3.  Aate me namak swadanusar dale fir aate ko achhi tarah se gunth le.
   4.  Fir aate ki loi banaye aur usko roti ki tarah bel lijiye, usme aloo  ka masala daal dijiye aur usko charo taraf se mila dijiye, aata laga kr fir se bel lijiye, fir tave par dal kar dono taraf se sek lijiye, parathe par tel ya ghee laga kar sek lijiye. Paratha ban kar tyaar hai.
                 

                           Vegetable Pulao Recipie

                         Maithi Paneer Pulao Recipie


Tuesday 5 April 2016

VEGETABLE PULAO BANAYE

Vegetable Pulaw


Chawal to sabhi pasand karte hai, lekin isme hari sabjiya daal kar pulaw bana de to iska swad aur Poushtikta barh jati hai. To Bananye hari hari sabjiyo ka hara-hara Pulaw. Is pulaw me ghee bhi bahut kam prayog karte hai kyonki bahut saare log kam ghee khana chaahte hai.

Maithe Paneer Pulao Recipe

Samagri:-

Basmati Chawal – 200gram ya 2 chhoti katori
Lemon – 1
Desi ghee ya refained tel – ek badi spoon ya aur bhi kam
Jeera- ek chhoti spoon
Long – 3-4 tukdo me tod le
Badi ilaichi – 1-2 chhil kar daane nikal le
Hari mirch – 1 (Baarik kati hui)
French beans – 50gram ya 15-16
Shimla mirch – 2 Baarik kati hui
Patta gobhi – 50 gram Baarik kata hua
Hari fresh matar – ek katori chhile hue
Hara dhaniya – ½ katori baarik kata hua
Namak swadanusar

Banane ki BiPulaw


Chawal ko achhi tarah dho ½ hour ke liye paani me bhigo de.
Yadi microwave me banana ho to
Microwave re rakhane wale bowl me bhige hue chawal de aur usme chawalo se dugna paani daal de, aur neebu ka ras aur namak mila de. AB chawal ko dhak kar microwave me 12 mintue tak pakaye. Chawal ko aap dekh kar jaan lenge ki chawal pak gaye hai. Mircowave se bahar nikal le  aur dakkan khol de.
Gas par kadahi rakhiye. Ghee daal kar garam kijiye, aur ab jeera daaliye, jeera brown hone ke baad long, ilaichi ke daane aur hari mirch daal dijiye, ek minute bhuniye aur ab sari hari sabji aur namak  daal de, 2-3 minute tak kalchhi se chala kar bhuneye ab 2-3 minute ke liye sabjiyo ko dhak de. Dhakkan hata kar dekhe ki sabjiya halki pak gayi to isme chawal ko milakar 2 minute tak kalchhi se chalate hue bhuniye. Pulaw tyaar hai.
Yadi gas par banana hai to
To cooker me ghee daalkar garam kijiye, ab jeera daal dijiye, jeera bhunane ke baad long aur ilaichi ke daane aur hari mirch daal kar 1 minute tak bhuniye. AB saari  sabjiya daalkar 2 minute tak bhuniye. Aur chawal se dugna paani daal kar namak aur neebo ka ras daal dijiye. Cooker band kar dijiye aur jaise hi cooker me pressure aa jaye gas band kar dijiye. 5 minute baad kholiye pulaw tyaar hai. Pulaw ko bowl a bade plate me nikal le. Hare dhaniye ke saath parosiye.

Sunday 27 March 2016

Maithi Paneer Pulao Recipe Kaise Banaye

Maithi Paneer Pulaaw


Pulaaw ko bhartiya byanjno me ek aniwary dish ke roop me use kiya jaata hai. Pulaaw ek swadisht aur banane me saral dish hai. Ise india me har koi khana aur banana chaahega  kyonki iska swad sabko apni or attract karta hai. Let’s ready for this dish.

 Samagri:-

1. Basmati chawal ¾ cup
2. Fresh maithi 1 ½ cup, Baarik kati
3. Paneer 150 gram/1 cup, in small piece
4. Pyaz 1 medium
5. Tamatar 1 medium
6. Adrak 1 inch ka tukda
7. Hari mirch 1-2
8. Jeera 2 tea spoon
9. Tej Patte 2
10. Sookhi khadi lal mirch 2
11. Garam masala 1 tea spoon
12. Namak 1  tea spoon
13. Shakkar ¼ tea spoon
14. Oil ya Ghee 3 Table spoon
         Jeera rice recipe

Banane ki bidhi:-

Chawal ko ache se beenkar dho le, ab chawal lo 30 minute ke liye 1 ½ paani me bhigne de. Chawal  ko microwave me ya fir Bhagone me ubaal le. Dhyan rakhe ki Chawal ekdam khile hue ho aur yah chipkane na paye. Ab chawal lo thanda hone de.
       Maithi ke mote danthal hata de. Ab methi ki pattiyo ko Bahut ache se dho le. Iske Baad in pattiyo lo Baarik kat le.
Pyaz aur adrak lo chheelkar dho le ab pyaz aur adrak ko Baarik kat le. Hari mirch ka danthal hata kar ise dho le au ise bhi Baarik kat le. Tamatar ko dhokar Baarik kat le.
Ek Kadahi me medium aunch par 3 Table spoon oil/ghee garam kare. Ab isme jeera dale aur jeera ke rang Badlane par tej patta, aur sookhi lal mirch dale aur kuchh sec ke liye bhone. Ab isme kati pyaz dale aur 2-3 minute ke liye bhune.
       Ab Baarik kati hari mirch aur adrak dale aur lagbhag 30 second ke liye bhune. Ab tamatar dale aur tamatar ke ache se gal jaane tak bhune.

Masala Frying:-

Ab Baarik kati hui maithi Dale aur ise 2-3 minute ke liye bhune. Ab isme namak , garam masala  aur jara si shakkar dale au rise 1 aur minute liye  bhune.
Pyaz aur tamatar ke masale me maithi daalne ke baad uble Chawal ko kante ki madad se alag kar liziye.
Humko is  resipi ke liye Bilkul  khile hue chawal chahiye. Chawal ko maithi ke masalw me dale. Halke haath se ise milaye. Ab ise 2 minute ke liye pakaye.
Ab paneer ke Tukde dale aur sabhi samagri me ache se milaye. 2 minute ke liye pakaye. Ab aunch band kar de. Aur kadahi ka dakkan lagakar rakhe jisase masala ki khushbu chawal ke andar tak aa jaaye.
Swadisht maithi paneer pulaaw ab tyaar hai. Aap ise apni pasand raayte ke sath paros sakte ho. Mai swadisht pulaw ko boondi ke raayte ke saath serve karna pasand  karta hu.

Kuchh Nuskhe/ Sujhaw:-

1. Ap chahe paneer ko thoda bhun kar bhi daal sakte hai is pulaw mai.
2. Ap apne swad ke anusar kuchh aur sabjiyan jaise ki, hare matar ke daane, sweet korn, shimla mirch itc. Bhi daal sakte hai is pulaw me.
3. Is maithi paneer pulaw me ek chatki shakkar daalne se iska  swad bad jaata hai lekin fir bhi shakkar optional hai.

JEERA RICE RECIPE; Jeera rice banane ka Asaan Tarika

Jeera Rice Recipe


Thode se Sabut masale aur jeere ke flavor  se bane jeera chawal ya jeera pulaw asaani se ban jaane vala pulaw hai. Ise chahe to daal, Sabji ya kari ke sath ya sirf achar ke sath  parosiye. Ye har tarah se swadisht se lagte hai.
PAALAK KI BARFI BANANE KI BIDHI

Avashayk  samagri:-

Basmati chawal – 1 cup
Ghee ya Oil – 2-3 table spoon
Hara dhaniya – 2-3 table spoon, Baarik kata hua
Jeera – 1 chhoti spoon upar tak bhari hui
Neembu – 1
Sabut masale – 1 chhoti spoon (swadanusar)

How to make jeera rice

Chawal ko saaf kijiye aur dhokar ½ hour ke liye paani me bhigo dijiye. ½ hour baad chawal se extra paani nikal dijiye. Kadahi me ghee garm hone par jeera daalkar halka sa bhuniye (jeera kala nhi hona chahiye), Sabut masale, Daal cheeni, kali mirch, long aur ilaichi bhi daal dijiye.
 Vegetable Pulao Banane ka Tarika

Saturday 19 March 2016

HOW TO MAKE PAALAK KI BARFI

Paalak ki Barfi

Avashayak Samgri:-

Paalak                             500 gram
Shakkar                           300 gram
Mava                               150 gram
Milk made                      2 Table spoon
Khane wala Hara color      chutki bhar
Desi ghee                        2 Table spoon
Kate kaju, Pista, Badam, aur chandi work avashyaktanusar

Banane ki Bidhi:-

Paalak ki danthal nikaal de, Patto ko achhi tarah dhokar pees le. Kadahi me 1 spoon ghee garm kare isme paalak ke pest ko bhune. Dusre Bartan me ghee daalkar maave ko bhun le. Uske Baad maave me milk made dale. Bhuna paalak, hara color aur pisee shakkar mila de. Thoda aur Bhun kar kate meve mila de. Thali me chiknai lagakar mixture ko jama de. Upar se chandi work saja de. Thanda hone par manchahe akaar me kat le. Paalak ki barfi swadist hone ke sath-sath Poshtika se Bharpoor hoti hai.